Nazm

Ek Nanni Si Pyari Si Betiya Thi Mai
Har Ek Dil Me Samayi Gudiya Thi Mai
Mera Kya Khusur Tha Muje Maar Di
Puchati Asuwon Me Dube Asifa

Wo Ankon Me Kitne Sajayithi Sapne
Har Lamha Kushiyon Ki Gujarithi Kitne
Mera Ansu Behata Hai Kaise Sambalu
Wo  Nannihisi Najuk Si Gudiya Ko Dekho
-         2  -
Siyasath Ke Logon Me Darindagi Hai Kyu
Sirf Duniya Ke Logon Me Dehashat Hai Kyu
Puchati Hai Ke Duniya Se Ye Asifa
Duniya Ke Logon Me Dushamani Hai Kyu

Un Zalimon Ke Zulmon Se Tadapegi Kitne
Har Lamha Pukara hai Aye Khuda Utne
Hindu Muslim Ke Jagade Ne Ye Kya Kiya
Mai Tho Masoom Betiya Thi Ye Kya Huwa
-         3  -
Log Kehate Hai Ke Mai Gunehgaar Hun
Mai Tho Ro Ro Ke Khudah Se Dua Mangtha Hun
Yakini Atal Hai Khuda Pe Muje Ab
Un Darindho Ke Haq Me Saja Chahtha Hun

Ansuwon Me Duba Ye Kalam Likhta Mera
Asifa Ke Haq Me Insaaf Likhta Mera
Mera Kya Khusur Tha Muje Maar Di
Puchati Asuwon Me Dube Asifa


Written By:Abubakar Donoor





Comments

Popular posts from this blog